हिंदी शायरी

Darindo Ka Mazhab Nahin Hota

कोई मंदिर कोई मस्जिद और कोई रब नहीं होता,
दरिंदो का अपना कोई मज़हब नहीं होता,
तबाही करने वालों का मज़हब सिर्फ तबाही है,
लहू किसका बहा उन्हें कोई मतलब नहीं होता।

Koi Mandir Koi Masjid Aur Koi Rab Nahin Hota,
Darindo Ka Apna Koi Mazhab Nahin Hota,
Tabaahi Karne Walon Ka Mazhab Sirf Tabaahi Hai,
Lahoo Kiska Baha Unhein Koi Matalab Nahin Hota.

-Advertisement-

Jab Maa Ne Pyaar Kiya

जन्नत के हर लम्हे का दीदार किया था,
गोद में लेकर जब मॉ ने प्यार किया था।

Jannat Ke Har Lamhe Ka Deedaar Kiya Tha,
God Mein Lekar Jab Maa Ne Pyaar Kiya Tha.

-Advertisement-

Tu Apni Rehmaton Se

Tu Apni Rehmaton Se Shayari

हजारों ऐब हैं मुझमें नहीं कोई हुनर बेशक,
तू मेरी हर कमी को खूबी में तब्दील कर देना,
एक खारे समंदर सी हस्ती है मेरी मौला,
तू अपनी रहमतों से इसे मीठी झील कर देना।

Hajaron Aib Hain Mujh Mein Nahin Koi Hunar Beshak,
Tu Meri Har Kami Ko Khoobi Mein Tabdeel Kar Dena,
Ek Khaare Samandar Si Hasti Hai Meri Maula,
Tu Apni Rehmaton Se Ise Meethi Jheel Kar Dena.

Rang Usne Bhi Badla Tha

ट्रैफिक सिग्नल पर आज उसकी याद आ गई,
रंग उसने भी अपना कुछ इसी तरह बदला था।

Traffic Signal Par Aaj Uski Yaad Aa Gayi,
Rang Usne Bhi Apna Kuchh Isi Tarah Badla Tha.

-Advertisement-

Pyaar Mein Jeena Sikhaya

मेरा हर लम्हा चुराया आपने,
आँखों को एक ख्वाब देखाया आपने,
हमें ज़िंदगी दी किसी और ने,
पर प्यार में जीना सिखाया आपने।

Mera Har Lamha Churaya Aapne,
Aankhon Ko Ek Khwaab Dikhaya Aapne,
Humein Zindagi Dee Kisi Aur Ne,
Par Pyaar Mein Jeena Sikhaya Aapne.

-Advertisement-

Kuchh Ajeeb Shakhsiyat Hai

Kuchh Ajeeb Shakhsiyat Hai Shayari

कुछ अजीब शख्सियत है हम दोनों की...
न वो #Ghazal में बयाँ होती है
न हम #Status में।

Kuchh Ajeeb Shakhsiyat Hai Hum Donon Ki...
Na Wo #Ghazal Mein Bayaan Hoti Hai
Na Hum #Status Mein.

Dard Dil Mein Utha Hai

Dard Dil Mein Utha Hai Shayari

इलाज इश्क का क्या है हमें बताये कोई,
जो दर्द दिल में उठा है उसे मिटाए कोई,
तलाश उसकी मुझे हर जगह रहती है,
मिलेगा मुझको कहाँ वो जरा बताये कोई।

Ilaaj Ishq Ka Kya Hai Humein Bataaye Koyi,
Jo Dard Dil Mein Utha Hai Usey Mitaye Koyi,
Talaash Uski Mujhe Har Jagah Rehti Hai,
Milega Mujhko Kahaan Wo Jara Bataaye Koyi.

-Advertisement-

Sooraj Dhala To

सूरज ढला तो कद से ऊँचे हो गए साये,
कभी पैरों से रौंदी थी यहीं परछाइयां हमने।

Sooraj Dhala To Kad Se Unche Ho Gaye Saaye,
Kabhi Pairon Se Raundi Thi Yaheen Parchhaiyaan Humne.