हिंदी शायरी

Dard Jaage Kayi Puraane Se

Chand Kaliyon Ke Muskurane Se,
Dard Jaage Kayi Puraane Se,
Do Kadam Main Chal Nahi Sakta,
Tu Hi Aa Ja Kisi Bahaane Se.

चंद कलियों के मुस्कुराने से,
दर्द जागे कई पुराने से,
दो कदम मैं चल नहीं सकता,
तू ही आ जा किसी बहाने से।

-Advertisement-

अपनी कमी छोड़ जाऊंगा

दुनिया में मैं अपनी कमी छोड़ जाऊंगा,
राहों पर इंतजार की लकीर छोड़ जाऊंगा,
याद रखना एक दिन मुझे ढूढ़ते फिरोगे,
आँखों में आपके मैं नमी छोड़ जाऊंगा।

Duniya Mein Main Apni Kami Chhod Jaoonga,
Raahon Par Intezaar Ki Lakeer Chhod Jaoonga,
Yaad Rakhna Ek Din Mujhe Dhoodate Firoge,
Aankhon Mein Aapke Main Nami Chhod Jaoonga.

-Advertisement-

Jab Tanha Hote Hain

Jab Tanha Hote Hain Shayari

Hum Iss Tarah Sukoon Ko Mehfooz Kar Lete Hain,
Jab Bhi Tanha Hote Hain Tumhein Mehsoos Kar Lete Hain.

इस तरह हम सुकून को महफूज़ कर लेते हैं,
जब भी तन्हा होते हैं तुम्हें महसूस कर लेते हैं।

वक़्त की आग में | Sad Shayari

वक़्त की आग में | Sad Shayari Shayari

वक़्त की आग में पत्थर भी पिघल जाते हैं,
हसीं लम्हे टूटकर अश्कों में बह जाते हैं,
कोई साथ नहीं देगा इस ज़िंदगी में हमारा,
क्यूंकि वक़्त के साथ इंसान बदल जाते हैं।
~ दिव्या शर्मा

Waqt Ki Aag Mein Patthar Bhi Pighal Jate Hain,
Haseen Lamhe TootKar Ashqon Mein Beh Jate Hain,
Koi Saath Nahi Dega Iss Zindagi Mein Humara,
Kyun Ki Waqt Ke Saath Insaan Badal Jate Hai.
~Divya Sharma

-Advertisement-

Koyi Dil Tod Jata Hai

इश्क़ में कोई किसी का दिल तोड़ जाता है,
दोस्ती में कोई दोस्त का भरोसा तोड़ जाता है,
ज़िंदगी जीना तो कोई उस गुलाब से सीखे,
जो खुद टूटकर दो दिलों को जोड़ जाता है।

Ishq Mein Koyi Kisi Ka Dil Tod Jata Hai,
Dosti Mein Koyi Dost Ka Bharosa Tod Jata Hai,
Zindagi Jeena To Koyi Us Gulaab Se Seekhe,
Jo Khud Tootkar Do Dilon Ko Jod Jata Hai.

-Advertisement-

Uss Ne Udaan Lee To

Jab Tak Kadam Ruke Rahe Tab Tej Thi Hawa,
Najarein Uthayi Jaise Hi Toofaan Ruk Gaya,
Ek Paitare Ke Saath Hi Bijlee Chamak Uthi,
Uss Ne Udaan Lee To Aasmaan Jhuk Gaya.

जब तक कदम रुके रहे तब तेज थी हवा,
नजरें उठाई जैसे ही तूफान रुक गया,
एक पैतरे के साथ ही बिजली चमक उठी,
उसने उड़ान ली तो आसमान झुक गया।
~ हरिशंकर पाण्डेय

तुझको पाने की चाह शायरी

कभी तुझको पाने की चाह,
कभी तेरे इंतज़ार का लुत्फ़,
कभी तेरी याद की परवाह,
कभी खामोश सा तकल्लुफ।
~ललित कुमार शर्मा

Kabhi Tujhko Paane Ki Chaah,
Kabhi Tere Intezaar Ka Lutf,
Kabhi Teri Yaad Ki Parwaah,
Kabhi Khaamosh Sa Takalluph.

-Advertisement-

Najar Milaane Mein Takleef

Bewafa Se Dil Laga Liya Nadaan The Hum,
Galti Humse Hui KyunKi Insaan The Hum,
Aaj Jinhein Najrein Milaane Mein Takleef Hai,
Kuchh Samay Pehle Unki Jaan The Hum.

बेवफा से दिल लगा लिया नादान थे हम,
गलती हमसे हुई क्योंकि इंसान थे हम,
आज जिन्हें नज़रें मिलाने में तकलीफ होती है,
कुछ समय पहले उनकी जान थे हम।