- Home
- Page-71
हिंदी शायरी
मुस्कुरा के छोड़ा है
लड़ के जाता तो हम मना लेते,
उसने तो मुस्कुरा के छोड़ा है।
Lad Ke Jata To Hum Manaa Lete,
Usne To Muskura Ke Chhoda Hai.
Nafrat Thi Mujhse To
नफरत थी मुझसे तो इज़हार क्यों किया,
देना था ज़हर मुझको तो प्यार क्यों किया,
ज़हर दे के कहते हो पीना ही होगा,
पी गया तो कहते हो अब जीना ही होगा।
Nafrat Thi Mujhse To Izhaar Kyon Kiya,
Dena Tha Zaher Mujhko To Pyaar Kyon Kiya,
Zaher De Ke Kehte Ho Peena Hi Hoga,
Pee Gaya To Kehte Ho Ab Jeena Hi Hoga.
Unchi Hastiyaan Bhi Dekhin
हमने ऊँची हस्तियाँ भी देखीं
और घनी बस्तियाँ भी देखीं,
आवारगी भी देखी और
कड़ी गिरफ़्तियाँ भी देखीं,
उनसे कहो कि हमें
उड़ना न सिखाये ऊँचे असमानों में,
हमने उड़ते जहाज भी देखे
और डूबती कस्तियाँ भी देखीं।
Humne Unchi Hastiyaan Bhi Dekhin
Aur Ghani Bastiyaan Bhi Dekhin,
Aawaragi Bhi Dekhi Aur
Kadi Giraftiyaan Bhi Dekhin,
Unn Se Kaho Ki Humein
Udna Na Sikhaye Unche Aasmaanon Mein,
Humne Udte Jahaaj Bhi Dekhe
Aur Doobti Kastiyaan Bhi Dekhin.
Ujale Mere Dar Par
हम भी कभी मुस्कुराया करते थे,
उजाले मेरे दर पर शोर मचाया करते थे,
उसी दीये ने जला दिया मेरे हाथों को,
जिस दीये को हम हवा से बचाया करते थे।
Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The,
Ujale Mere Dar Par Shor Machaya Karte The,
Usee Deeye Ne Jala Diya Mere Haathon Ko,
Jis Deeye Ko Hum Hawa Se Bachaya Karte The.
Wo Ek Raat Kya Jala
वो एक रात क्या जला तो उसे चिराग कह दिया,
हम बरसों से जल रहे हैं कोई तो खिताब दो।
Wo Ek Raat Kya Jala To Use Chiraag Keh Diya,
Hum Barson Se Jal Rahe Hain Koyi To Khitaab Do.
Kitna Zewar Becha Tha
शहर में जाकर पढ़ने वाले भूल गए
किसकी माँ ने कितना ज़ेवर बेचा था।
Shahar Mein Jaakar Parhne Wale Bhool Gaye,
Kis Ki Maa Ne Kitna Zewar Becha Tha.
जहाँ तेरी कमी होगी
जुबान खामोश और आँखों में नमी होगी,
यही बस मेरी दास्ताने-ज़िंदगी होगी,
भरने को तो हर ज़ख्म भर जायेगा लेकिन,
कैसे भरेगी वो जगह जहाँ तेरी कमी होगी।
Jubaan Khamosh Aur Aankhon Mein Nami Hogi,
Yahi Bas Meri Daastaan-e-Zindagi Hogi,
Bharne Ko To Har Zakhm Bhar Jayega Lekin,
Kaise Bharegi Wo Jagah Jahaan Teri Kami Hogi.
KhoobSoorat Hain Aankhein Tumhari
कितनी खूबसूरत हैं आँखें तुम्हारी,
बना दीजिये इनको किस्मत हमारी,
इस ज़िंदगी में हमें और क्या चाहिए,
अगर मिल जाए मोहब्बत तुम्हारी।
Kitni KhoobSoorat Hain Aankhein Tumhari,
Bana Deejiye Inko Kismat Humari,
Iss Zindagi Mein Humein Aur Kya Chaahiye,
Agar Mil Jaye Mohabbat Tumhari.