- Home
- Page-73
हिंदी शायरी
Wahin Par Dard Milta Hai
Jaane Kya Likha Hai
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein,
Main Jahan Bhi Jata Hoon
Wahin Par Dard Milta Hai.
जाने क्या लिखा है
मेरी हाथों की लकीरों में,
मैं जहाँ भी जाता हूँ
वहीं पर दर्द मिलता है।
Hum Tere Na Ho Paye
मोहब्बत भी, शरारत भी, शराफत भी, इबादत भी,
बहुत कुछ करके देखा फिर भी हम तेरे न हो पाए।
Mohabbat Bhi, Shararat Bhi, Sharafat Bhi, Ibaadat Bhi,
Bahut Kuchh Karke Dekha Phir Bhi Hum Tere Na Ho Paye.
Aankhon Se Ghazal
हम तो अल्फाज़ ही ढूढ़ते रह गए,
और वो आँखों से गज़ल कह गए।
Hum To Alfaaz Hi Dhoodhte Reh Gaye,
Aur Wo Aankhon Se Ghazal Keh Gaye.
मेरे घर का पता
तमाम रात का तूफ़ान बर्क-ओ-बाद न था,
हमको ही अपने चिरागों पर ऐतमाद न था,
वो तो लहू के धब्बों से पहचान बन गई,
वर्ना मेरे घर का पता किसी को याद न था।
Tamaam Raat Ka Toofaan Bark-O-Baad Na Tha,
Humko Hi Apne Chiraagon Par Aitmaad Na Tha,
Wo To Lahoo Ke Dhabbon Se Pehchaan Ban Gayi,
Varna Mere Ghar Ka Pata Kisi Ko Yaad Na Tha.
Din Aapke Khyaalon Mein
ना दूर हमसे जाया करो, दिल तड़प जाता है,
आपके ख्यालों में ही पूरा दिन गुज़र जाता है,
पूछता है यह दिल एक सवाल आपसे,
कि क्या आपको भी हमारा ख्याल आता है।
Na Door Humse Jaaya Karo, Dil Tadap Jaata Hai,
Aapke Khyaalon Mein Hi Poora Din Guzar Jaata Hai,
Poochhta Hai Yeh Dil Ek Sawaal Aapse,
Ki Kya Aapko Bhi Humara Khyaal Aata Hai.
Jeena Sikhati Hai Maa
हँसकर मेरा हर गम भुलाती है माँ,
मैं रोता हूँ तो सीने से लगाती है माँ,
बहुत दर्द दिया है इस ज़माने ने मुझको,
सबकुछ झेलकर जीना सिखाती है माँ।
Hanskar Mera Har Gam Bhulati Hai Maa,
Main Rota Hoon To Seene Se Lagati Hai Maa,
Bahut Dard Diya Hai Iss Zamaane Ne Mujhako,
Sab Kuchh Jhelkar Jeena Sikhati Hai Maa.
Mere Labon Par Duaa
जहां में तेरी यादों के सिवा कुछ भी नहीं,
दिल में गुजरी बातों के सिवा कुछ भी नहीं,
तू जहाँ भी रहे सदा खुश रहे,
मेरे लबों पर दुआओं के सिवा कुछ भी नहीं।
Jahaan Mein Teri Yaadon Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin,
Dil Mein Gujri Baaton Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin,
Tu Jahaan Bhi Rahe Sada Khush Rahe,
Mere Labon Par Duaaon Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin.
प्यार में मिला हर दर्द
प्यार में मिला हर दर्द उपहार होता है,
प्यार वो होता है जिसमें इंतज़ार होता है,
सदियों तक इंतज़ार करते हैं वो लोग,
जिन्हें अपने प्यार पर ऐतबार होता है।
Pyar Mein Mila Har Dard Uphaar Hota Hai,
Pyar Wo Hota Hai Jis Mein Intezaar Hota Hai,
Sadiyon Tak Intezaar Karte Hain Wo Log,
Jinhein Apne Pyaar Par Aitbaar Hota Hai.