हिंदी शायरी

Ye Udaas Raatein

Mujhse Nahi KatTi Ab Yeh Udaas Raatein,
Kal Sooraj Se Kahunga Mujhe Saath Leke Doobe.

मुझसे नहीं कटती अब ये उदास रातें,
कल सूरज से कहूँगा मुझे साथ लेकर डूबे।

-Advertisement-

Meri Jaan Ho Tum

Meri Jaan Ho Tum Shayari

आँखों की चमक पलकों की शान हो तुम,
चेहरे की हँसी लबों की मुस्कान हो तुम,
धड़कता है दिल बस तुम्हारी आरज़ू में,
फिर कैसे ना कहूँ कि मेरी जान हो तुम।

Aankhon Ki Chamak Palkon Ki Shaan Ho Tum,
Chehare Ki Hansi Labon Ki Muskaan Ho Tum,
Dhadakta Hai Dil Bas Tumhaari Aarzoo Mein,
Phir Kaise Na Kahoon Ki Meri Jaan Ho Tum.

-Advertisement-

Ye Dil Bura Sahi

Ye Dil Bura Sahi Shayari

ये दिल बुरा सही मगर सर-ए-बाजार तो न कह,
आखिर तू इस मकान में कुछ दिन रहा तो है।

Ye Dil Bura Sahi Magar Sar-e-Baajaar To Na Keh,
Aakhir Tu Iss Makaan Mein Kuchh Din Raha To Hai.

Wo Roya Bahut

Dekha Palat Ke Usne Chahat Usey Bhi Thi,
Duniya Se Meri Tarah Shikayat Usey Bhi Thi,
Wo Roya Bahut Mujhko Pareshaan Dekhkar,
Uss Din Pata Chala Meri Jarurat Usey Bhi.

देखा पलट के उसने चाहत उसे भी थी,
दुनिया से मेरी तरह शिकायत उसे भी थी,
वो रोया बहुत मुझको परेशान देख कर,
उस दिन पता चला की मेरी जरुरत उसे भी थी।

-Advertisement-

Dil Udaas Kyon Hai

जो जरा किसी ने छेड़ा तो छलक पड़ेंगे आँसू,
कोई मुझसे यूँ न पूछे तेरा दिल उदास क्यों है?

Jo Jara Kisi Ne Chheda To Chhalak Padenge Aansoo,
Koi Mujhase Yoon Na Poochhe Tera Dil Udaas Kyon Hai?

-Advertisement-

Yehi Zindagi Ka Imtihaan

शायद यही ज़िंदगी का इम्तिहान होता है,
हर एक शख्स किसी का गुलाम होता है,
कोई ढूढ़ता है ज़िंदगी भर मंज़िलों को,
कोई पाकर मंज़िलों को भी बेमुकाम होता है।

Shayad Yehi Zindagi Ka Imtihaan Hota Hai,
Har Ek Shakhs Kisi Ka Gulaam Hota Hai,
Koi Dhoodhata Hai Zindagi Bhar Manzilon Ko,
Koi Paakar Manzilon Ko Bhi BeMukaam Hota Hai.

Ek Tabeez Dosti Ko

एक ताबीज़ तेरी मेरी दोस्ती को भी चाहिए...
थोड़ी सी दिखी नहीं कि नज़र लगने लगती है।

Ek Tabeez Teri Meri Dosti Ko Bhi Chaahiye...
Thodi Si Dikhi Nahin Ki Nazar Lagne Lagti Hai.

-Advertisement-

Kyun Tanha Kar Dete Ho

Kyun Tanha Kar Dete Ho Yoon Durr Jakar,
Intezaar Karte Hain Hum BeKarar Hokar,
Waqt Badalta Hai Maana Humne,
Na Chhod Kar Jaya Karo Anjaan BanKar.

क्यों तन्हा कर देते हो यूँ दूर जाकर,
इंतज़ार करते हैं हम बेक़रार होकर,
वक्त बदलता है माना हमने,
न छोड़ कर जाया करो अनजान बनकर।