गिला शिकवा शायरी

Yehi Iljaam Bahut Hai

तुम मेरे लिए अब कोई इल्जाम न ढूँढो,
चाहा था तुम्हें एक यही इल्जाम बहुत है।

Tum Mere Liye Ab Koi Iljaam Na Dhoondho,
Chaaha Tha Tumhein Ek Yehi Iljaam Bahut Hai.

-Advertisement-

Dhokha Na Diya Humne

किरदार की अज़मत को गिरने न दिया हमने,
धोखे तो बहुत खाए लेकिन धोखा न दिया हमने।

Kirdaar Ki Azmat Ko Girne Na Diya Humne,
Dhokhe To Bahut Khaye Lekin Dhokha Na Diya Humne.

-Advertisement-

Dil Pe Bojh Lekar

Dil Pe Bojh Lekar Shayari

दिल पे बोझ लेकर तू मुलाकात को न आ,
मिलना है इस तरह तो बिछड़ना कबूल है।

Dil Pe Bojh Lekar Tu Mulakat Ko Na Aa,
Milna Hai Iss Tarah To Bichhadna Kabool Hai.

Duniya Mein Aisa Kyon

जाने दुनिया में ऐसा क्यों होता है,
जो सबको खुशी दे वही क्यों रोता है,
उम्र भर जो साथ न दे सके,
वही ज़िन्दगी का पहला प्यार क्यों होता है?

Jaane Duniya Mein Aisa Kyon Hota Hai,
Jo Sabko Khushi De Wahi Kyon Rota Hai,
Umr Bhar Jo Saath Na De Sake,
Wahi Zindagi Ka Pehla Pyaar Kyon Hota Hai?

-Advertisement-

Hadd Se Gujar Gaye

Tum Bas Uljhe Rah Gaye Humein Aajmaane Mein,
Aur Hum Hadd Se Gujar Gaye Tumhein Chahne Mein.

तुम बस उलझे रह गए हमें आजमाने में,
और हम हद से गुजर गए तुम्हें चाहने में।

-Advertisement-

Puchhenge Apna Haal

Puchhenge Apna Haal Shayari

Gar Zindagi Mein Mil Gaye Phir Ittefaq Se,
Poochhenge Apna Haal Teri Beabsi Hum.

गर जिंदगी में मिल गए फिर इत्तेफाक से,
पूछेंगे अपना हाल तेरी बेबसी से हम।

Har Baat Giraan Gujregi

उनसे कह दो मुझे खमोश ही रहने दें 'वसीम',
लब पे आएगी तो हर बात गिराँ गुज़रेगी।

Unn Se Keh Do Mujhe Khamosh Hi Rehne Dein Waseem,
Lab Pe Aaegi To Har Baat Giraan Gujregi.

-Advertisement-

Khat Jalaya Na Karo

Khat Jalaya Na Karo Shayari

Raakh Se Bhi Aayegi Khushboo Mohabbat Ki,
Mere Khat Tum Sare-Aam Jalaya Na Karo.

राख से भी आएगी खुशबू मोहब्बत की,
मेरे खत तुम सरेआम जलाया ना करो।