गिला शिकवा शायरी

Agar Pyar Nahi Hai To

Humse Pyar Nahi Hai To Bhula Kyun Nahi Dete,
Khat Kisliye Rakhe Hain Jala Kyun Nahi Dete,
Kis Waste Likha Hai Hatheli Par Mera Naam,
Main Harf Galat Hun To Mita Kyun Nahi Dete.

हमसे प्यार नहीं है तो भुला क्यों नहीं देते,
खत किसलिए रखे हैं जला क्यों नहीं देते,
किस वास्ते लिखा है हथेली पर मेरा नाम,
मैं हर्फ़ गलत हूँ तो मिटा क्यों नहीं देते।

-Advertisement-

Humsafar Koi Hota To

Humsafar Koi Hota To Shayari

हमसफर कोई होता तो
हम भी बाँट लेते दूरियाँ,
राह चलते लोग भला
क्या समझेंगे मेरी मजबूरियाँ।

Humsafar Koi Hota To
Hum Bhi Baant Lete Dooriyaan,
Raah Chalte Log Bhala
Kya Samjhenge Meri Majbooriyaan.

-Advertisement-

Naam Tak Bhool Jaaoge

Tum Kyun Banate Ho Ret Ke Mahal,
Ek Din Tumhin Inhein Mitaaoge,
Aaj Tum Kahte Ho Ke Tum Mere Ho,
Kal Mera Naam Tak Bhool Jaaoge.

तुम क्यों बनाते हो रेत का महल,
एक दिन तुम्हीं इन्हें मिटाओगे,
आज तुम कहते हो कि तुम मेरे हो,
कल मेरा नाम तक भूल जाओगे।

Uske Bina Jeena

जिंदगी हसीन है पर जीना नहीं आता,
हर चीज में नशा है पर पीना नहीं आता,
सब मेरे बगैर जी सकते हैं...
बस मुझे ही किसी के बिना जीना नहीं आता।

Zindagi Haseen Hai Par Jeena Nahin Aata,
Har Cheej Mein Nasha Hai Par Peena Nahin Aata,
Sab Mere Bagair Ji Sakte Hain...
Bas Mujhe Hi Kisi Ke Bina Jeena Nahin Aata.

-Advertisement-

Jheel Ke Pani Ki Tarah

Tumne Chaha Hi Nahi Ye Halaat Badal Sakte The,
Tumhare Aansu Meri Aankhon Se Bhi Nikal Sakte The,
Tum To Thhehre Rahe Jheel Ke Paani Ki Tarah,
Dariya Bante To Bahut Dur Nikal Sakte The.

तुमने चाहा ही नहीं ये हालात बदल सकते थे,
तुम्हारे आँसू मेरी आँखों से भी निकल सकते थे,
तुम तो ठहरे रहे झील के पानी की तरह बस,
दरिया बनते तो बहुत दूर निकल सकते थे।

-Advertisement-

Unki Najar Mein Fark

उनकी नजर में कोई फर्क आज भी नहीं,
पहले मुड़कर देखते थे अब देखकर मुड़ जाते हैं।⁠⁠⁠⁠

Unki Najar Mein Koi Fark Aaj Bhi Nahin,
Pehle Mudkar Dekhte The Ab Dekhkar Mud Jaate Hain.⁠⁠⁠⁠

Ye Wafa Kuchh Aur Hai

मेरे सिवा किसी और को
महबूब बना कर देख ले,
तेरी हर धड़कन खुद कहेगी
कि ये वफा कुछ और ही है।

Mere Siwa Kisi Aur Ko
Mehboob Bana Kar Dekh Le,
Teri Har Dhadkan Khud Kahegi
Ki Ye Wafa Kuchh Aur Hi Hai.

-Advertisement-

Sitam Ka Koi Hisaab

वो मेरे करम उँगलियों पे गिनते हैं,
सितम का जिनके कोई हिसाब नहीं।

Wo Mere Karam Ungliyon Pe Ginte Hain,
Sitam Ka Jinke Koi Hisaab Nahin.