- Home
- Shikwa Shayari
- Page-5
गिला शिकवा शायरी
Mere Dil Ko Jalaa Ke
जो मनाई है दिवाली, मेरे दिल को जलाके,
अब होली भी मना लेना, बची ख़ाक उड़ाके।
Jo Manaai Hai Deewali, Mere Dil Ko Jalaa Ke,
Ab Holi Bhi Mana Lena, Bachi Khaak Udaake.
Berukhi Se Takleef
Ab Kyun Takleef Hoti Hai Tumhein Iss Berukhi Se,
Tumhin Ne To Sikhaya Hai Ke Dil Kaise Jalate Hain.
अब क्यूँ तकलीफ होती है तुम्हें इस बेरुखी से,
तुम्हीं ने तो सिखाया है कि दिल कैसे जलाते हैं।
Roothh Ke Jaana Tera
ले गया जान मेरी... रूठ के जाना तेरा,
ऐसे आने से तो बेहतर था, न आना तेरा।
Le Gaya Jaan Meri... Roothh Ke Jaana Tera,
Aise Aane Se To Behtar Tha, Na Aana Tera.
Dooriyaan To Mita Doon Main
तुझसे दूरियां तो मिटा दूँ मैं... एक पल में मगर,
कभी कदम नहीं चलते कभी रास्ते नहीं मिलते।
Tujhse Dooriyaan To Mita Doon Main... Ek Pal Mein Magar,
Kabhi Kadam Nahin Chalte Kabhi Raaste Nahin Milte.
Shikwe To Kam Nahin Hain
घुट घुट के जी रहा हूँ तेरी नौकरी में ऐ दिल,
बेहतर तो होगा अब तू कर दे मेरा हिसाब,
शिकवे तो कम नहीं है पर क्या करुं शिकायत,
कहीं हो न जाएं तुझसे रिश्ते मेरा खराब।
Ghut Ghut Ke Jee Raha Hoon Teri Naukari Mein Ai Dil,
Behtar To Hoga Ab Tu Kar De Mera Hisaab,
Shikwe To Kam Nahin Hain Par Kya Karun Shikaayat,
Kaheen Ho Na Jaayein Tujhse Rishta Mera Kharaab.
Uski Chalaakiyaan
उसे लगता है कि उसकी चालाकियाँ
मुझे समझ नहीं आती,
मैं बड़ी खामोशी से देखता हूँ
उसे अपनी नज़रों से गिरते हुए।
Use Lagta Hai Ki Uski Chalaakiyaan
Mujhe Samajh Nahin Aati,
Main Badi Khaamoshi Se Dekhta Hoon
Use Apni Nazaron Se Girte Huye.
Tere Shahar Mein Bikte Rahe
तुझे फुर्सत ही न मिली मुझे पढ़ने की वरना,
हम तेरे शहर में बिकते रहे किताबों की तरह।
Tujhe Fursat Hi Na Mili Mujhe Parhane Ki Varna,
Hum Tere Shahar Mein Bikte Rahe Kitaabon Ki Tarah.
Kasoor Kiska Tha
दिमाग पर जोर डालकर गिनते हो
गलतियाँ मेरी,
कभी दिल पर हाथ रख कर पूछना
कि कसूर किसका था।
Dimaag Par Jor Daalkar Ginte Ho
Galatiyaan Meri,
Kabhi Dil Par Haath Rakh Kar Poochhna
Ki Kasoor Kiska Tha.