- Home
- Shikwa Shayari
- Page-9
गिला शिकवा शायरी
Agar Tum Chahte Hote
Adhoori Hasraton Ka Aaj Bhi ilzaam Hai Tum Par,
Agar Tum Chahate Toh Ye Mohabbat Khatm Na Hoti.
अधूरी हसरतों का आज भी इलज़ाम है तुम पर,
अगर तुम चाहते तो ये मोहब्बत ख़त्म ना होती।
Roothha Main Agar
Roothha Agar Tujhse Toh Iss Andaaz Mein Roothhunga,
Tere Shahar Ki Mitti Bhi Mere Wajood Ko Tarsegi.
रूठा अगर तुझसे तो इस अंदाज से रूठूंगा,
तेरे शहर की मिट्टी भी मेरे वजूद को तरसेगी।
Toh Fir Mohabbat Kaisi
Mujhse Baat Na Karke Wo Khush Hai
Toh Fir Shikayat Kaisi,
Aur Main Usey Khush Bhi Na Dekh Paaun
Toh Fir Mohabbat Kaisi.
मुझसे बात ना करके वो खुश है
तो फिर शिकायत कैसी,
और मैं उसे खुश भी ना देख पाऊं
तो फिर मोहब्बत कैसी।
Unki Marzi
Unki Marzi Ho Toh Baat Karte Hain, Aur Ek Hum Hain,
Jo Har Din Unki Marzi Ka Hi Intezar Karte Hain.
उनकी मर्जी हो तो बात करते हैं और एक हम हैं
जो पूरे दिन उनकी मर्जी का ही इंतज़ार करते है ।
Ahmiyat Nahi Rahti
Tujhse Main Izhaar-e-Mohabbat Isliye Bhi Nahi Karta,
Suna Hai Barasne Ke Baad Baadalon Ki Ahmiyat Nahi Rahti.
तुझसे मैं इजहार-ए-मोहब्बत इसलिए भी नहीं करता,
सुना है बरसने के बाद बादलों की अहमियत नहीं रहती।
Chain-o-Sukoon Ke Dushman
Kyun Mere Chain-o-Sukoon Ke Dushman Ban Gaye,
Duniya Badi Haseen Hai Kisi Aur Se Dil Laga Lete.
क्यों मेरे चैन-ओ-सुकून के दुश्मन बन गए,
दुनिया बड़ी हसीं है किसी और से दिल लगा लेते।
Faasle Barhe Toh
Faasle Barhe Toh GalatFahmiyan Aur Bhi Barh Gayin,
Phir Usne Woh Bhi Suna Jo Maine Kaha Hi Nahi.
फासले बढ़े तो गलतफहमियां और भी बढ़ गयीं,
फिर उसने वह भी सुना जो मैंने कहा ही नहीं ।
Ek Husn Ke Siwa
Na Chahat, Na Mohabbat, Na Ishq Aur Na Wafa,
Kuchh Bhi Toh Nahi Tha Uske Paas Ek Husn Ke Siwa.
न चाहत न मोहब्बत न इश्क़ और न वफ़ा,
कुछ भी तो नहीं था उसके पास इक हुस्न के सिवा।