दो लाइन शायरी

Lahoo Ka Daur Hai

MayKhane Se Puchha Aaj Itna Sannata Kyun Hai...
Bola Lahoo Ka Daur Hai Sahab Sharab Kaun Peeta Hai.

मयखाने से पूछा आज इतना सन्नाटा क्यों है,
बोला साहब लहू का दौर है शराब कौन पीता है।

-Advertisement-

Mohabbat Hai Tumse Shayari

Darta Hun Kehne Se Main, Ki Mohabbat Hai Tumse,
Meri Zindagi Badal Dega, Tera Iqrar Bhi, Inkaar Bhi!

डरता हूँ कहने से मैं, कि मोहब्बत है तुमसे,
मेरी ज़िंदगी बदल देगा, तेरा इक़रार भी इंकार भी।

-Advertisement-

Mohabbat Shayari Har Ek Shabd

Aasaan Nahi Hai Hum Se Yu Shayarion Me Jeet Pana,
Hum Har Ek Shabd Mohabbat Me Haar Ke Likhte Hain.

आसान नही है हमसे यूँ शायरिओं में जीत पाना,
हम हर एक शब्द मोहब्बत में हार कर लिखते है।

Mujhe Anmol Kar Diya

Na Mera Naam Tha Na Daam Tha Bajar-e-Mohabbat Mein,
Tumne Baav Puchh Kar Mujhe Anmol Kar Dia.

न मेरा नाम था न दाम था
बाजारे मोहब्बत में,
तुमने भाव पूछकर अनमोल कर दिया।

-Advertisement-

Zulm Ki Intehan Kar Do

Tum Apne Zulm Ki Intehan Kar Do,
Na Jaane...
Fir Koyi Hum Sa Bejubaan Mile Na Mile.

तुम अपने ज़ुल्म की इन्तेहा कर दो,
न जाने...
फिर कोई हम सा बेजुबां मिले ना मिले ।

-Advertisement-

Yakeen Aur Fareb

Yakeen Nahi Hota Fir Bhi Kar Hi Leta Hun,
Jahan Itne Huye Ek Aur Fareb Ho Jaane Do.

यकीन नहीं होता फिर भी कर ही लेता हूँ,
जहाँ इतने हुए एक और फरेब हो जाने दो ।

Jhagda Hi Khwahishon Ka

Zindagi Mein Saara Jhagda Hi Khwahishon Ka Hai,
Na Toh Kisi Ko Gham Chahiye Na Hi Kisi Ko Kam Chahiye.

ज़िन्दगी में सारा झगड़ा ही ख़्वाहिशों का है
ना तो किसी को गम चाहिए...
ना ही किसी को कम चाहिए।

-Advertisement-

Kabhi Mukhatib Ho

Kabhi Mukhatib Ho Toh Kahun, Kya Marz Hai Mera,
Ab Dur Se Puchhoge Toh Khairiyat Hi Kahenge.

कभी हो मुखातिब तो कहूँ क्या मर्ज़ है मेरा,
अब तुम दूर से पूछोगे तो ख़ैरियत ही कहेंगे।