दो लाइन शायरी

Bach Ke Rahna

Bach Ke Rahna Aise Logon Se Mere Doston,
Jinke Dil Mein Bhi Ek Dimaag Rahta Hai.

बच के रहना ऐसे लोगों से मेरे दोस्तों,
जिनके दिल में भी एक दिमाग रहता है।

-Advertisement-

Khushboo Nahin Aayi

Hawayein Hadtaal Par Hain Shayad,
Aaj Tumhari Khushboo Nahin Aayi.

हवाएँ हड़ताल पर हैं शायद,
आज तुम्हारी खुशबू नहीं आई।

-Advertisement-

Har Marz Ka ilaaj

Har Marz Ka ilaaj Milta Tha Uss Bazar Mein,
Mohabbat Ka Naam Liya Toh DawaKhane Band Ho Gaye.

हर मर्ज़ का इलाज़ मिलता था उस बाज़ार में,
मोहब्बत का नाम लिया दवाख़ाने बन्द हो गये।

Parwane Ko Shama Par

Parwane Ko Shama Par Jal Kar Kuch To Milta Hoga,
Sirf Marne Ki Khatir To Koi Pyaar Nahi Karta!

परवाने को शमा पर जल कर कुछ तो मिलता होगा,
सिर्फ मरने की खातिर तो कोई प्यार नहीं करता ।

-Advertisement-

Mohabbat Seekh Kar

Seekh Kar Gaya Hai Wo Mohabbat Mujhse,
Jis Se Bhi Karega Be-Misaal Karega.

सीख कर गया है वो मोहब्बत मुझसे,
जिस से भी करेगा बेमिसाल करेगा।

-Advertisement-

ilzam Liye Firte Hain

Husn Walo Ne Kya Kabhi Ki Khata Kuchh Bhi?
Ye Toh Hum Hain Sar ilzam Liye Firte Hain.

हुस्न वालों ने क्या कभी की ख़ता कुछ भी ?
ये तो हम हैं सारे इलज़ाम लिये फिरते हैं।

Bhool Jaane Ke Tareeke

Ab Dhhoondh Rahe Hain Wo Mujhko Bhool Jaane Ke Tareeke,
Khafa Hokar Uski Mushkilein Aasaan Kar Di Maine.

अब ढूढ़ रहे हैं वो मुझको भूल जाने के तरीके,
खफा होकर उसकी मुश्किलें आसान कर दी मैंने ।

-Advertisement-

Vaada Karke Aapne

Vaada Karke Aur Bhi Aafat Mein Daala Aapne,
Zindagi Mushkil Thi Ab Marna Bhi Mushkil Ho Gaya.

वादा करके और भी आफ़त में डाला आपने,
ज़िन्दगी मुश्किल थी, अब मरना भी मुश्किल हो गया ।