- Home
- Page-28
हिंदी शायरी
Tumhari Yaad Aate Hi
बिखर जाती है खुशबू सी
तुम्हारी याद आते ही,
न जाने कौन सा सावन है
जो बिन मौसम बरसता है।
Bikhar Jaati Hai Khushboo Si
Tumhari Yaad Aate Hi,
Na Jaane Kaun Sa Saawan Ha
Jo Bin Mausam Barasta Hai.
Chale Hum Maikhaane Mein
Mohabbat Bikti Hai Yahan Ishq Neelaam Hota Hai,
Bharose Ka Qtal Yahan Par Khule Aam Hota Hai,
Zamane Se Mili Thokar To Chale Hum Maikhaane Mein,
Ab Wahi Zamana Humein Sharabi Naam Deta Hai.
मोहब्बत बिकती है यहाँ इश्क़ नीलाम होता है,
भरोसे का क़त्ल यहाँ पर खुले आम होता है,
ज़माने से मिली ठोकर तो चले हम मैखाने में,
अब वही ज़माना हमें शराबी नाम देता है।
उनके प्यार की खुशबू
विशाल बाबूबेताब सा रहने की आदत सी पड़ गई,
दिल में उनके प्यार की खुशबू बिखर गई,
आँखों से गुजरे थे वो एक ख्वाब की तरह,
उनकी हसीं सूरत मेरे दिल में उतर गई।
Betaab Sa Rehne Ki Aadat Si Pad Gayi,
Dil Mein Unke Pyaar Ki Khushboo Bikhar Gayi,
Aankhon Se Gujre The Wo Ek Khwaab Ki Tarah,
Unki Haseen Soorat Mere Dil Mein Utar Gayi.
Thhehro Ki Barish Hai
जरा ठहरो कि बारिश है...
ये थम जाये तो चले जाना,
किसी का तुमको छू जाना
मुझे अच्छा नहीं लगता।
Jara Thhehro Ki Barish Hai...
Ye Tham Jaaye To Chale Jana,
Kisi Ka Tumko Chhoo Jana
Mujhe Achchha Nahi Lagta.
Yaadon Ko De Di Panaah
Ek Katra Hi Sahi Aankh Mein Paani To Rahe,
Ai Mohabbat Tere Hone Ki Nishaani To Rahe,
Bas Yehi Soch Ke Yaadon Ko Teri De Di Panaah,
Iss Naye Ghar Mein Koyi Cheej Puraani To Rahe.
एक कतरा ही सही आँख में पानी तो रहे,
ऐ मोहब्बत तेरे होने की निशानी तो रहे,
बस यही सोच के यादों को तेरी दे दी पनाह,
इस नये घर में कोई चीज पुरानी तो रहे।
Jinke Ghar Sheeshe Ke
जिनके घर शीशे के होते हैं... वो तो...
कहीं पर भी बैठ कर दाढ़ी बना लेते हैं।
Jinke Ghar Sheeshe Ke Hote Hain... Wo...
Kahin Bhi Baithh Kar Daarhi Bana Lete Hain.
नाकाम मोहब्बत का नक्श | Sad Shayari
आइने में अक्सर जो अक्स नजर आता है,
खुद से लड़ता हुआ एक शख्स नजर आता है,
वो किसी बात पे खुद से खफा लगता है,
नाकाम मोहब्बत का नक्श नजर आता है।
Aaine Mein Aksar Jo Aks Nazar Aata Hai,
Khud Se Ladta Huaa Ek Shakhs Nazar Aata Hai,
Wo Kisi Baat Pe Khud Se Khafa Lagta Hai,
Nakam Mohabbat Ka Naksh Nazar Aata Hai.
ये गज़ल मोहब्बतों की
मैं किसे सुना रहा हूँ ये गज़ल मोहब्बतों की,
कहीं आग साजिशों की कहीं आँच नफरतों की,
कोई बाग जल रहा है ये मगर मेरी दुआ है,
मेरे फूल तक न पहुँचे ये हवा तज़ामतों की।
Main Kise Suna Raha Hoon Ye Gazal Mohabbaton Ki,
Kahin Aag Sazishon Ki Kahin Aanch Nafraton Ki,
Koyi Baag Jal Raha Hai Ye Magar Meri Duaa Hai,
Mere Phool Tak Na Pahunche Ye Hawaa Tazaamaton Ki.