हिंदी शायरी

Mahekati Chali Jaoon

बारिश की तरह कोई बरसता रहे मुझ पर,
मिट्टी की तरह मैं भी महकती चली जाऊं।

Barish Ki Tarah Koi Barasta Rahe Mujh Par,
Mitti Ki Tarah Main Bhi Mahekati Chali Jaoon.

-Advertisement-

Faasle Badh Jayenge

Faasle Badh Jayenge Shayari

Jagmagate Shahar Ki Raanaiyon Mein Kya Na Tha,
Dhoondhane Nikla Tha Jisko Bas Wohi Chehara Na Tha,
Hum Wohi, Tum Bhi Wohi, Mausam Wohi, Manzar Wohi,
Faasle Badh Jayenge Itne Maine Kabhi Socha Na Tha.

जगमगाते शहर की रानाइयों में क्या न था,
ढूँढ़ने निकला था जिसको बस वही चेहरा न था,
हम वही, तुम भी वही, मौसम वही, मंज़र वही,
फासले बढ़ जायेंगे इतने मैंने कभी सोचा न था।

-Advertisement-

De Gaya Gham Mujhe

De Gaya Gham Mujhe Shayari

De Gaya Gham Mujhe Tohfe Mein
Mila Wo Jab Bhi,
Maine Ek Shakhs Ko Kyun Kar
Bhala Samjha Apna.

दे गया ग़म मुझे तोहफे में मिला वो जब भी,
मैंने एक शख्स को क्यूँ कर भला समझा अपना।

Yaadon Ki Zindagi

Yaadon Ki Zindagi Shayari

दीमक ज़दा किताब थी यादों की ज़िन्दगी,
हर वर्क खोलने की ख्वाहिश में फट गया।

Deemak Zada Kitaab Thi Yaadon Ki Zindagi,
Har Vark Kholne Ki Khwahish Mein Fat Gaya.

-Advertisement-

Zindagi Ki Thokarein

मज़ा देती हैं उनको
ज़िन्दगी की ठोकरें मोहसिन,
जिनको नाम-ए-खुदा लेकर
संभल जाने की आदत हो।

Maza Deti Hain Unko
Zindagi Ki Thokarein Mohsin,
Jinko Naam-e-Khuda Lekar
Sambhal Jaane Ki Aadat Ho.

-Advertisement-

Shayari Judai Aa Gayi

Fursat Mili Jab Humko To Tanhai Aa Gayi,
Gham Bhi Aaya Saath Mein Rushwai Aa Gayi,
Inn Sabse Milne Aankh Mein Aansoo Bhi Aa Gaye,
Jab Yaad Mere Dil Ko Teri Judai Aa Gayi.

फुर्सत मिली जब हमको तो तन्हाई आ गई,
ग़म भी आया साथ में रुसवाई आ गई,
इन सबसे मिलने आँख में आँसू भी आ गए,
जब याद मेरे दिल को तेरी जुदाई आ गई।

Humari Har Khushi Ka Ehsaas

हमारी हर खुशी का एहसास तुम्हारा हो,
तुम्हारे हर ग़म का दर्द हमारा हो,
मर भी जाएँ तो हमें कोई ग़म नहीं,
बस आखिरी वक़्त पे साथ तुम्हारा हो।

Humari Har Khushi Ka Ehsaas Tumhara Ho,
Tumhare Har Gam Ka Dard Humara Ho,
Mar Bhi Jayein To Humein Koi Gam Nahin,
Bas Aakhiri Waqt Pe Saath Tumhara Ho.

-Advertisement-

Meri Ye Zid Nahi

Meri Ye Zid Nahi Shayari

मेरी ये जिद नहीं मेरे गले का हार हो जाओ,
अकेला छोड़ देना तुम जहाँ बेज़ार हो जाओ।
Mujhe Ye Zid Nahi, Mere Gale Ka Haar Ho Jaao,
Akela Chhod Dena Tum Jahan Bezaar Ho Jaao.

बहुत जल्दी समझ में आने लगते हो ज़माने को,
बहुत आसान हो थोड़े बहुत दुश्वार हो जाओ।
Bahut Jaldi Samajh Mein Aane Lagte Ho Zamane Ko,
Bahut Aasan Ho Thode-Bahut Dushwaar Ho Jaao.

मुलाकातों में वफ़ा होना ऐसे भी जरूरी है,
कि तुम एक दिन जुदाई के लिए तैयार हो जाओ।
Mulakaaton Mein Wafa Hona Aise Bhi Jaroori Hai,
Ki Tum Ek Din Judaai Ke Liye Taiyar Ho Jaao.

मैं चिलचिलाती धूप के सहरा से आया हूँ,
तुम बस ऐसा करो साया-ए-दीवार हो जाओ।
Main Chilchilti Dhoop Ke Sehra Se Aaya Hoon,
Tum Bas Aisa Karo Saya-e-Deewar Ho Jaao.

तुम्हारे पास देने के लिए झूठी तसल्ली हो,
न आये ऐसा दिन तुम इस कदर नादार हो जाओ।
Tumhaare Pass Dene Ke Liye Jhoothhi Tasalli Ho,
Na Aaye Aisa Din Tum Iss Qadar Nadaar Ho Jaao.

तुम्हें मालूम हो जायेगा कि कैसे रंज सहते हैं,
मेरी इतनी दुआ है कि तुम फनकार हो जाओ।
Tumhein Maloom Ho Jayega Ke Kaise Ranj Sehte Hain,
Meri Itni Duaa Hai Ke Kaash Tum Fankaar Ho Jaao.